bade din hue kuch likhe hue
yaar puchte hain ke
kya hua tujh ko
yeh khzana ka baksa
yun band kyun pada hai
yeh hoth chup kyun hain
yeh kalam kamosh kyun hai bhala
lagta hai bahut din hue tujh
ko shehr se guzre hue
shayd koi janaza nahi dekha
koi rota na dekha
matam me shamil na hui
lagta hai kisi
kya kahun un se dekha
jo tha woh likh nahi pa rahi
shabd bhi khauff me hain
sochti hun machli
pakadne ka kanta
jehn me daal ke nikal lun
woh khyal woh nazm
jo aaj kal sone nahi dete mujhe
maine dekhi thi lashe kuch
kati fati
tha na hath kisi ka,
kisi ka na pair
koi "bomb"fata tha,
manzar yeh bhule ankhen
to likhun main kuch........
---aanchh-----
1 टिप्पणी:
yah nazm kisi durghatna ke bad likhi hai aapne
bohot sundar !
regards
pravah
एक टिप्पणी भेजें