फ़ॉलोअर

शुक्रवार, 28 नवंबर 2008

khamoshi


bade din hue kuch likhe hue

yaar puchte hain ke

kya hua tujh ko

yeh khzana ka baksa

yun band kyun pada hai

yeh hoth chup kyun hain

yeh kalam kamosh kyun hai bhala

lagta hai bahut din hue tujh

ko shehr se guzre hue

shayd koi janaza nahi dekha

koi rota na dekha

matam me shamil na hui

lagta hai kisi

kya kahun un se dekha

jo tha woh likh nahi pa rahi

shabd bhi khauff me hain

sochti hun machli

pakadne ka kanta

jehn me daal ke nikal lun

woh khyal woh nazm

jo aaj kal sone nahi dete mujhe

maine dekhi thi lashe kuch
kati fati
tha na hath kisi ka,
kisi ka na pair

koi "bomb"fata tha,

manzar yeh bhule ankhen

to likhun main kuch........


---aanchh-----

गुरुवार, 27 नवंबर 2008

jhadee bondoo ki


aaj bhi sataya karti hain mujhe

tanhai me woh pyaari baten

teri"bhigaa na karo barish

me jaan

pani meetha ho jayega"


usi shram ki lali se ab bhi surkh

hai daman mera...

magar ek sawal

me uljhi hun aaj kal

ki agar main

chashni saraapa thi

to yeh bochar jo meri ankhon

me phingalti hai iski boondo me

namak ke daane kyun hai???????



---aanch----

jane kitne khelo me mushgool
maine aksar aasman ke
us baraf ke gole mein
rooho ko dekha hai.........
zindgii ke har pehlu se rubru
ho kar rooh jab mar jati
use ek jism me
dafna diya jata hai.........
ek chalta firta
makbara hai jism
roohe hamare jismo.n
ko zindgi nahi deti.....
woh mar kar yahan hai.......
jis roz meri rooh ko
jinda hona hoga
woh mera jism
bhi chod degi.......
---aanch---