फ़ॉलोअर

शनिवार, 12 जुलाई 2008


barsato ke mausam me
bahut pani zama ho jata hai
meri ankho ki zami.n par
mistri tum banate ho jaise
tuti hui ento ke tukdo ko
jod kar farsh
mere pass bhi padi hain
kuch tute hue sapno ki ente.n
tumko main de dun
agar lakar
to kya meri ankho ki stah par bhi tum
ek sangmaramri farsh bana doge........


---aanch----