jane kya sujhi mujhe
ke ja khola maine
woh kothe ka kamra
bahut waqt ho gaya shayd
yadon ki tarah
dhool si zam gayi hai sab jagah
haan kuch saman pada hai tera
adhjale cigrette ke tukde
kuch rakh bhi hai
silwate bhi hain bistar pe kuch
kiraye ke chand sikke bhi hain
ek adhura sher bhi baki hai
likha hai
"tujhe bhul jaun agar"
laga jaise aaj ke liye
likh choda tha tumne
yad aya ke koi apna bhi tha
ja garo ki bhati gaya tha
bin kuch bataye
bin kuch kahe
kabhi waqt mile to le jana
sahej ke rakh chodi hai main
sab amanat teri............
--aanch--
ke ja khola maine
woh kothe ka kamra
bahut waqt ho gaya shayd
yadon ki tarah
dhool si zam gayi hai sab jagah
haan kuch saman pada hai tera
adhjale cigrette ke tukde
kuch rakh bhi hai
silwate bhi hain bistar pe kuch
kiraye ke chand sikke bhi hain
ek adhura sher bhi baki hai
likha hai
"tujhe bhul jaun agar"
laga jaise aaj ke liye
likh choda tha tumne
yad aya ke koi apna bhi tha
ja garo ki bhati gaya tha
bin kuch bataye
bin kuch kahe
kabhi waqt mile to le jana
sahej ke rakh chodi hai main
sab amanat teri............
--aanch--